donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek gehri neend se khuli jab aankh meri, *
Ek gehri neend se khuli jab aankh meri, 
Har tarf har so maine andhera hi andhera dekha. 

Chadar mein ajeeb kaali ghtaon ki chupa, 
Gehra bouhat gehra kahin maine sawera dekha, 

Kuch bhi zara sa bhi na de jinko kuch sunayi, 
Har kisiko apne aas paas aisa maine behra dekha. 

Thoda jo hosh mein ayi to ajab yeh raaz khula, 
Koi behra nahin bas apne lafzon ko maine thehra dekha. 

Sadayein thin kitni hi boliyon ki mere mann mein, 
Door talak apne andar tab khamoshi ka maine basera dekha. 

Wo saheliya wo humdard sab meri jane kahan gayin, 
Har ek dil pe khudgarzi ka laga maine pehra dekha. 

Barson sambhala maine khud mein jis aitbar ko, 
Pal mein raiza raiza hote wo bhrosa maine mera dekha. 

Kashamakash mein dhoob gayi main ke jaon ab kiss janib, 
Kaise na kahon farishta tujhe mere ***, 
Ke uss pal roshni ki simat ishara kiye 
hath maine tera dekha. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366