donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jitna yeh zamana chahat mein humko tadpayega, *
Jitna yeh zamana chahat mein humko tadpayega, 
Apni chahat ko utna hi ziyada yeh barhta payega, 

Dega dard, karega sitam,pal pal humko satayega, 
Juda magar humko yeh phir bhi kar nahin payega, 

Tham ke hath ulfat ka hum utna hi hanste jayenge, 
Yeh bedard jahan humko jitna bhi yaar rulayega, 

Hum our bhi gehre kho jayeinge pyar ke samundar mein, 
Zalim samaj bhala masoom dilon ko kitna tarsayega? 

Jo rog lag gya hai humko ab Mohabbat mein, 
Nadan log jaan nahin paa rahe yeh kabhi mit nahin payega, 

Phool samajh kar chalne wale to chalte hain angaron par, 
Yeh raaz waqt hi ab jhuti ana mein qaid logon ko samjhayega, 

Seh ke sare zulm-o-sitm hum kuch is ada se muskurayege, 
Ansoo.on mein jag sare ka sara khud hi doob jayega, 

Ek bhi sans hai baqi jab tak, sath hum nibhayenge tab tak, 
Damn wafa ke kabhi koi na hum se cheen payega, 

Agar ho jaye dushman zamana mere humsafar housla na harna 
Ke marne ke baad humein Rab to milayega. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364