donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aleena Itrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jab bhi furqat ki hawao'n mein tadapta hai chiragh *
jab bhi furqat ki hawao'n mein tadapta hai chiragh
raat ki god mai sar rakh ke sisakta hai chiragh

raat bhar shab ki hifazat mai jala kar khud ko
aamad e subah pe kis shaan se bujhta hai chragh

kuchh hawao'n ki shararat se zara ithla kar
sar ko kham karta hai aur thoda bigadta hai chiragh

lao se aanchal ko jalane ka hunar aane tak 
apni hi zaat ki tareeki se ladta hai chiragh

tere dam se to aleena ka jaha'n raushan hai
kyu'n bhala aik hi hujre mein simat ta hai chiragh 
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 503