* NAZM...SHAM KI PURWAAI *
NAZM...SHAM KI PURWAAI
aaj parwaaz khayalo'n ne juda see paayi
aaj phir bhooli hui yaad kisi ki aayi
jism mai saaz khanakne ka hua hai ahsaas
kyu'n khalaao'n se ek aawaz lagi dil ke paas
meri zulfo'n ne bikhar kar koi sargoshi ki
kaisi aawaz hui aaj ye khamoshi ki
teri aahat tera andaaz juda hai ab bhi
tu hi duniya e mohabbat ki sada hai ab bhi
is tasawwur pe ''aleena '' ko hansi aayi hai
ye koi aur nahi ''shaam ki purwaayi'' hai....
by aleena itrat rizvi |