donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ali Abbas Ummeed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ruuh kii baat sunii, jism ke tevar dekhe, *
Ruuh kii baat sunii, jism ke tevar dekhe,
iltijaa hai voh is aag meN jal kar dekhe,

tum voh daryaa jo chaDhe bhii to gharhii bhar ke liye,
maiN voh qatra huuN jo gir ke bhii samandar dekhe,

chubhtaa mahaul, ghuTii ruuH, gurezaaN lamhe,
dil kii hasrat hai kabhii in se nikal kar dekhe,
kaise kar le voh yaqiiN tujh par fareb-e-Gham-e-zaat,
terii raahoN meN jo tashkiik ke patthar dekhe,

baat ho sirf haqiiqat kii to sah le lekin,
apne KhwaaboN ko bikharte koii kyuuN kar dekhe,

hamse mat puuchhiye kyaa nafs pe guzrii Ummiid,
ek ek saaNs se laDte hue lashkar dekhe.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 421