donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ali Abbas Ummeed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Varaq hai mere sahiife kaa, aasmaaN kyaa hai *
Varaq hai mere sahiife kaa, aasmaaN kyaa hai
rahaa yeh chaaNd to shaayad tumhaaraa chehraa hai

jo puuchhtaa thaa meri umr usse kah dena
kisii ke pyaar ke mausam kaa ek jhoNkaa hai

fizaa ki shaaKh pe lafzoN ke phuul khilne do
jise sukuut smaajhte ho zard patta hai

mere qadam bhii ko'ii shaam kaash le letii
mera safar bhii to suraj ki taraH tanhaa hai

zaruur chaaNd ke honToN pe meraa naam aayaa hogaa
merii miZhah se sitaara saa ko'ii TuuTaa hai

har ek shaKhs ko ummeed usii se hai
tamaam shahar meN voh ek hii to rusvaa hai

[saheefah=book, revealed book]
[mizhah=eyelashes sukuut= silence, quietness, peace]
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 410