Din na din aur raat raat nahi,
Tu na ho gar to kayenaat nahi,
Barha’n wo pukarta kyon hai,
Jin se meri ta’alluqaat nahi,
Sach ko sach kah diya to toot gaye,
Rikhte sab aur koi baat nahin,
Zulm munsif ke ghar ke andar ho,
Is se badhkar ke wardaat nahi,
ishq walon ki kya haqeeqat hai,
gham agar shamil e hayat nahi,
Zindagi zindagi nahin lagti,
Mujh me baqi jo khahshaat nahi,
Tum hamesha ALI ke dil me ho,
Aur koyee tasawwuraat nahin,
****