donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ali Asghar Idrisi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wo humse khafaa hokar hairan nahi lagta, *

Wo humse khafaa hokar hairan nahi lagta,
Ulfat ka safar ab to aasaan nahi lagta,

Maghroor ho jata hai daulat ke nashe me jo,
Insaan bhi hokar ke insaan nahin lagta,

Bikhre’n to bikhar jaye’n arman sabhi dil ke,
Puri ho meri hashrat imkaan nahi’n lagta,

Patthar to nahi’n maro ehsaas to hota hai,
Waise to mai zinda hun, be jaan nahi lagta,

Barso’n se tumhare ghar barkat jo nahin aayee,
Aaya ho yahan koi mehmaan nahi lagta,

Rahbar jo hamara hai, rahjan hai haqeeqat me,
Dushman ke shefarish par darbaan nahi lagta,

Mumkin to nahin lagta , wo laut ke ayega,
Ghar ye bhi bina uske weeran nahi lagta,,

Dunya ye badal jaye jab roze qayamat ho,
Tarmim ho jayega Qur’aan nahi lagta,,

Bach jaye ALI tumsa jo husn parasti se,
Lagta hai farishta hai insaan nahin lagta

*****

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 365