donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ali Sardar Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Din kii Khashmagi nazrei’n kho gayii siyaahii me’n, *
Din kii Khashmagi nazrei’n kho gayii siyaahii me’n,
aahnii kaRho’n kaa shor, beRhio’n kii jhankaare’n,
qaidio’n kii saanso’n kii tund-tez aavaaze’n,
jailaro’n kii badkaari, gaalio’n ki bauchhaare’n
bebasii kii Khaamoshii, Khaamoshi kii faryaade’n, tahnashii’n andhere me’n,
shab ki shoKh doshiizaa Khaardaar taaro'n ko,
aahnii’n hisaaro’n ko paar kar ke aayii hai,
bhar ke apne daaman me’n jangalo’, kii Khush-buue’n,
Thandake’n pahaaRho’n kii mere paas laayii hai,
raat Khuubsurat hai niind kyu’n nahii’n aatii.
neelguuN jawaaN seena, neelguuN jawaaN baaheN
kahkashaaN kii peshaanii, neem chaaNd ka juuRaa
maKhmalii andhere kaa, pairahan laraztaa hai
waqt ki siyaah zulfeN Khaamoshi ke shaanoN per
Kham-ba-Kham mahaktii haiN aur zamiiN ke hontoN per
narm shabnamii bosay, motioN ke daantoN se KhilKhilaa ke haNste haiN
raat Khuubsurat hai niind kyuN nahiiN aatii
raat peing letii hai, chaa’ndnii ke jhuule me’n,
aasmaan par taare nanhe-nanhe haatho’n se-
bun rahe hai’n jaaduu saa.
jhingaro’n ki aavaaze’n, kah rahi hai’n afsaana,
duur jail ke baahar baj rahii hai shehnaaii
rail apne pahio’n se loriaa’n sunaatii hai,
raat Khuubsurat hai niind kyu’n nahii’n aatii,
roz raat ko yu’nhii niind meri aankho’n se
bewafaaii kartii hai,
mujhko chhoRh kar tanhaa jail se nikaltii hai,
Bambayii kii bastii me’n mere ghar ka darvaaza jaa kar KhatKhataati hai,
ek nanhe bacche kii ankhRhio’n ke bachpan me’n,
miithe miithe Khwabo’n ka shahed Ghol detii hai,
ik hansii’n parii ban kar paalnaa hilaati hai loriaa’n sunaatii hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 340