donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ali Zaryoun
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bahar aanay hi waali hay aur phoolon say *
Bahar aanay hi waali hay aur phoolon say 
Muhabbaton ki nayi khushbuen janam len gi.. 
bahaar aanay hi wali hay aur saaray shajar.. 
(khizaan raseeda Shajar) 
naye siray se badan sabbz karne walay hain.. 
bahar anay hi wali hay aur Tumhare liye.. 
Tumhare dost..Tumharay Buhat hi ache dost.. 
Buhat se cards buhat se Gulaab bhejhen gay.. 
Buhat say Cards... 
Buhat say Gulaab...jin k sabab.. 
Tumhain kisi ki udaasi na yad aye gi... 
Kisi ki ankain... 
Kisi ki Bujhi hui aankhain... 
Kisi ka chehra... 
kisi ka mara hua chehra.. 
Kisi k Khaab... 
Jinhain toot te na dekha gaya..!!! 
Kisi k lafzz... 
jinhain rooth te na dekha gaya...!! 
Aur ab wo chehra wo ankhain wo harf aur wo khaab..!!! 
Tumhari yaad ki bay ant khaamshi mein kahin... 
Udaas bethe hue soochte hi rehte hain... 
bahaar ane hi wali hay aur saray shajar.. 
naye siray se badan sabbz karne walay hain????? 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 874