donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Allama Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Majnoo'n nay sheher chhora, tu Sehraa bhi chhor day, *
Majnoo'n nay sheher chhora, tu Sehraa bhi chhor day, 
Nizaray ki hawas ho tu Laila bhi chhor day, 

Wa'az! kamal-e-tarq se milti hai yaa'n muraad, 
Duniya jo chhor dii hai to uqbaa bhi chhor day, 

Taqleed ki rawish se tu behtar hai Khud-Kushi, 
Rasta bhi dhoond, Hizar ka sauda bhi chhor day, 

Mannand-e-Khama Teri zuba'n per hai harf-e-ghair, 
Begana Shay pe Nazish-e-Bejaa bhi chhor day, 

Lutaf-e-Qalaam kya je naa ho dil mei'n DARD-e-ISHQ ,
Bismil nahe hai tu to Tarapna bhi chor day, 

Shabnam ki tarah pholoo'n pe ro, aur chaman se Chal, 
Iss Baagh mei'n Qayaam ka sauda bhi chhor day, 

Achchha hai dil kay pass rahay pasbanay Aqal, 
Lakin kabhi kabhi issay tanha bhi chhor day, 

Hai Ashiquee mei'n rasam alag sab se baithna, 
But-Khana bhi, Haram bhi, Kaleesa bhi chhor day. 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 422