donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Allama Iqbal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chin O arab hamara hindustaN hamara *
Chin O arab hamara hindustaN hamara 
Muslim haiN hum watan sara jahaN hamara
Tauheed  ki amanat sin O main hai hamare 
AasaN nahi mitana nam O nishaN hamara
DuniyaN k but kadoN mai phahla wo ghar khuda ka 
Hum is k pasbaN haiN wo pasbaN hamara
TighoN k sayee main hum pal kar  jawaN huyeN haiN
Khanjer helal ka hai koumi nishaN hamara
Magrib main diwarooN main gunji azaN hamari
Thamta na tha kisi se sil E rawaN hamara
Batil se dabne wale ai aasmaN nahiN hum 
Saw bar kar chuka hai tu imtehaN hamara
Ai gulistan E  undulus woh din hai yad tujh ko 
Tha teri daliyoN main jab aashyaN hamara
Ai mauj E dajla ; tu bhi pahchanti hai hum ko 
Ab tak tere darya main afsaNa khah hamara
Ai arz E pak ;teri hurmat pe kat mareN hum 
Hai khuN teri ragooN main ab tak rawaN hamara
Salar E karwaN hai MIR_E HEJAZ apna 
Is nam se hai baqui aaram E jaN hamara
Iqbal ka tarana bang E dara hai goya
Hota hai jada paimaN phir karwaN hamara
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 592