|
* Ajab waiz ki din-dari hai ya rab, *
Ajab waiz ki din-dari hai ya rab,
adawat hai ise sare jaha'n se,
koi ab tak na ye samjha ke insa'n,
kaha'n jata hai aata hai kaha'n se,
wahi'n se raat ko zulmat mili hai,
chamak taro'n ne pai hai jaha'n se,
ham apni dard-mandi ka fasana,
suna karte hai'n apne razda'n se,
barhi bariik hai'n waiz ki chale'n,
laraz jata hai aawaz-e-aza'n se.
|
|