* Sitaaro'n se aage jahaa'n aur bhii hai’n *
Sitaaro'n se aage jahaa'n aur bhii hai’n
abhii ishq ke imtihaa'n aur bhii hai’n
taahii zindagii se nahii ye fazaaye’n
yahaa’n saikado’n kaaravaa’n aur bhii hai’n
kainaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhii, aashiyaa’n aur bhii hai’n
agar kho gayaa ek nasheman to kyaa gham
maqaamaat-e-aah-o-fugaa’n aur bhii hai’n
too shaheen hai parwaaz hai kaam teraa
tere saamane aasmaa'n aur bhii hain
isii roz-o-shab me ulajh kar na rah jaa
ke tere zamiin-o-makaa’n aur bhii hai’n
gae din kii tanhaa thaa mai’n anjuman me
yahaa’n ab mere raazdaa’n aur bhii hai
|