|
* Us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.N, *
Us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.N,
Dhuu.NDhane us ko chalaa huu.N jise paa bhii na sakuu.N ,
[hasarat=desire ]
Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa,
kuchh yeh mehandii nahii.n merii ke miTaa bhii na sakuu.N ,
zabt kam_baKht ne aur aa ke galaa gho.NTaa hai,
ke use haal sunaa_uu.N to sunaa bhii na sakuu.N ,
[zabt=forbearance]
us ke pahluu me.n jo lejaa ke sulaa duu.N dil ko,
niind aisii use aaye ke jagaa bhii na sakuu.N ,
[pahluu=lap ]
naqsh-e-paa dekh to luu.N laakh karuu.Ngaa sajde,
sar meraa arsh nahii.n hai ki jhukaa bhii na sakuu.N ,
bevafaa likhte hai.n vo apnii kalam se mujh ko,
ye vo qismat kaa likhaa hai jo miTaa bhii na sakuu.N ,
is tarah soye hai.n sar rakh ke mere zaano.n par,
apanii so_ii hu_ii qismat ko jagaa bhii na sakuu.N.
|
|