donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ameer Kazalbash
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kah rahii hai hashr me.n vo aa.Nkh sharmaa_ii hu_ii, *
Kah rahii hai hashr me.n vo aa.Nkh sharmaa_ii hu_ii,
haaye kaise is bharii mahfil me.n rusvaa_ii hu_ii ,

aa_iine me.n har adaa ko dekh kar kahte hai.n vo,
aaj dekhaa chaahiye kis kis kii hai aa_ii hu_ii ,

kah to ai gul_chii.n asiiraan-e-qafas ke vaaste,
to.D luu.N do chaar kaliyaa.N mai.n bhii murjhaa_ii hu_ii ,

mai.n to raaz-e-dil chhupaa_uu.N par chhipaa rahne bhii de,
jaan kii dushman ye zaalim aa.Nkh lalchaa_ii hu_ii ,

Ghamzaa-o-naaz-o-adaa sab me.n hai hayaa kaa lagaao,
haaye re bachpan kii shoKhii bhii hai sharmaa_ii hu_ii ,

vasl me.n Khaalii hu_ii raqiibo.n se mahfil to kyaa,
sharm bhii jaaye to jaanuu.N ke tanhaa_ii hu_ii ,

gard u.Dii aashiq kii turbat se to jhunjhalaa ke kahaa,
vaah sar cha.Dhane lagii paa.Nv kii Thukraa_ii hu_ii.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 285