donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ameer Kazalbash
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jhonkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa, *
Jhonkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa,
naazuk bahut hai phuul charaaGh-e-mazaar kaa ,

phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa,
phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa ,

shaaKho.n se barg-e-gul nahii.n jha.Date hai.n baaGh me.n,
zevar utaar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa ,

har gul se laalaazaar me.n ye puuchhataa huu.N mai.n,
tuu hii pataa bataade dil-e-daaGh_daar kaa ,

is pyaar se fishaar diyaa gor-e-tang ne,
yaad aa gayaa mazaa mujhe aaGhosh-e-yaar kaa ,

hiltii nahii.n havaa se chaman me.n ye Daaliyaa.N,
muu.Nh chuumte hai.n phuul uruus-e-bahaar kaa ,

uThataa hai naazaa me.n vo sarahaane se ai ’Ameer’,
miTataa hai aasaraa dil-e-ummiid_vaar kaa .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 284