donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ameer Kazalbash
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ha'ns ke farmaate hai.n vo dekh kar haalat merii, *
Ha'ns ke farmaate hai.n vo dekh kar haalat merii,
kyo.n tum aasaa.N samajhte the muhabbat merii ,

baad marne ke bhii chho.Dii na rafaaqat merii,
merii turbat se lagii baiThii hai hasrat merii ,

mai.n ne aaGhosh-e-tasavvur me.n bhii khe.nchaa to kahaa,
pis ga_ii pis ga_ii bedard nazaakat merii ,

aa_iinaa subah-e-shab-e-vasl jo dekhaa to kahaa,
dekh zaalim ye thii shaam ko suurat merii ,

yaar pahluu me.n hai tanhaa_ii hai kah do nikle,
aaj kyo.n dil me.n chhupii baiThii hai hasrat merii ,

husn aur ishq ham_aaGhosh nazar aa jaate,
terii tasviir me.n khi.nch jaatii jo hairat merii ,

kis DhiTaa_ii se vo dil chhiin ke kahte hai.n ’Ameer’,
vo meraa ghar hai rahe jis me.n muhabbat merii .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 306