|
* Banda nawaziyo'n pe Khuda-e-karam tha, *
Banda nawaziyo'n pe Khuda-e-karam tha,
kerta na mai gunah to gunah-e-azim tha,
batai'n bhi ki Khuda ne dikhaya jamal bhi,
wallah kya naseeb janab-e-kalim tha,
duniya ka hal ahal-e-adam hai ye muKhtasr,
ik do qadam ka kucha-e-umed-o-bim tha,
kerta mai dard mand tabibo'n se kya roju ,
jis ne diya tha dard bara woh hakim tha,
sama-e-ufw kya mai kahoo muKhtasr hai ye,
banda gunah gar tha Khaliq karim tha
jis din se mai chaman mai'n hua Khwah-e-gul `Ameer`,
nam-e-saba kahi na nishan-e-nasim tha. |
|