donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ameer Minai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jho’nkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa *
Jho’nkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa
naazuk bahut hai phuul charaagh-e-mazaar kaa

phir baithe baithe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa
phir uth khadaa huaa vahii rog intazaar kaa

shaakho’’n se barg-e-gul nahii'n jhadte hai’n baagh me
zevar utaar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa

har gul se laalaazaar me ye puuchhtaa hoo’n mai’n
tuu hii pataa bataade dil-e-daaghdaar kaa

is pyaar se fishaar diyaa gor-e-tang ne
yaad aa gayaa mazaa mujhe aaghosh-e-yaar kaa

hiltii nahii’n havaa se chaman me ye daaliyaa’n
muu’nh chuumte hai’n phuul uruus-e-bahaar kaa

uthataa hai naazaa me vo sarhaane se ai 'Ameer'
mitataa hai aasaraa dil-e-ummiidvaar kaa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376