|
* Us ki hasrat hai jise dil se miTa bhi na sakoo, *
Us ki hasrat hai jise dil se miTa bhi na sakoo,
DhoonDhane us ko chala hoo'n jise pa bhi na sakoo,
Dal ker Khak mere Khoon pe qatil ne kaha,
kuch yeh mehndi nahi mer ke miTa bhi na sakoo,
zabt kambaKht ne aur aa ke gala ghoonTa hai,
ke use haal sunaoo to suna bhi na sakoo ,
us ke pahlu main jo leja ke sula doo'n dil ko,
nind aisi use aye ke jaga bhi na sakoo,
naqsh-e-pa dekh to loo'n lakh karoonga sajde ,
sar mera arsh nahi hai k jhuka bhi na sakoo ,
bewafa likhte hai'n wo apni qalam se mujh ko,
ye wo qismat ka likha hai jo miTa bhi na sakoo.
|
|