donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ameer Minai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hans ke farmate hai'n woh dekh kar haalat meri, *
Hans ke farmate hai'n woh dekh kar haalat meri, 
kyu'n tum aasan samjhte they mohabbat meri, 
baad marne ke bhi chhori na rafaqat meri, 
meri turbat se lagi baiThi hai hasrat meri, 
mai ne aGhosh-e-tasawur mai'n bhi khencha to kaha, 
pis gai pis gai bedard nazakat meri, 
aina subah-e-shab-e-vasl jo dekha to kaha, 
dekh zalim yeh thi shaam ko surat meri, 
yar pahlu mai'n hai, tanhai hai, kah do nikle, 
aaj kyu'n dil mai'n chhupi baiThi hai hasarat meri, 
husn aur ishq hum aaGhosh nazar aa jate. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 427