|
* Chupke chupke asar kartaa hai, *
Chupke chupke asar kartaa hai,
ishq kainsar kii tarah ba.Dhataa hai,
jo ko_ii jii na sake mar jaaye,
aap kaa naam abas letaa hai
kaun suntaa hai kisii kii vipadaa,
sab ke maathe pe yahii qissaa hai
ko_ii Dartaa hai bharii mahfil me.n
ko_ii tanhaa_ii me.n ha.Ns pa.Dataa hai,
yahii jannat hai yahii hai dozaKh,
aur dekho to yahii duniyaa hai,
sab kii qismat me.n fanaa hai jab tak,
aasmaano.n pe ko_ii zindaa hai.
|
|