donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anil Sulabh
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zakhmo'n ko aap ke hii nashtar se siiye hai'n ham, *
Zakhmo'n ko aap ke hii nashtar se siiye hai'n ham,
Kya-kya kahe'n ki kaise kaise , jiye hai'n ham,

Masti hai kya kii khoob , aapka hai shukriya,
Kya dard diya kaise, kaise diye hai'n gham,

Aa'nkho'n ke chalakte hue maye ka asar hai,
Tauba koii gunah nahii, waise kiye hai'n ham,

Do dil naa mile guzre qayamat se abhii tak,
Kitnii hii baar ab talak, tab se liye janam,

Maikhana mei'n aayo, magar pyaala na chuoge,
Kya baat hui saqi ne aise diye qasam,

Sunte the SULABH dil pe Tere mazboot hai pahraa,
Zara sii baat par phisal kaise gaye qadam.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 340