donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anjum Rahbar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sach baat maan leejiye chehre pe dhuul hai, *
Sach baat maan leejiye chehre pe dhuul hai,
ilzaam aaiinoN pe lagaanaa fizuul hai,
(ilzaam : accusation; fizuul : useless)
terii navaazisheN hoN to kaaNTaa bhii phuul hai,
Gham bhii mujhe qubuul, Khushii bhii qubuul hai
(navaazish : generosity; qubuul : acceptable)
us paar ab to ko’ii teraa muntazir nahiiN,
kacche GhaRe pe tair kar jaanaa fizuul hai
(muntazir : waiting)
jab bhii milaa hai zaKhm kaa tohfaa diyaa mujhe
dushman zaruur hai vo magar baa-usuul hai.
( baa-usuul : principled)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 1489