* M a h i y e : Muala ki sakhat ka *
M a h i y e
Muala ki sakhat ka
Tashna hai har rahi
kaba ki ziyarat ka
Audh ke chadar suja ki
Kutiya ke andar
Apne mein gum hoja
Ambar se dharti tak
Qatra qatra yeh
Sailab hai basti tak
Chahat ka alam hai
Rungeen hain sapne
Dhiyan mein balam hai
Daftar ke uljhan mein
Apne ko baaz rakh
Filon ke lal riban mein
Rukh dekh ke darpan ka
Pher na chehre ko
Muasam hai yeh savan ka |