donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anwar Shaoor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Vo gul farosh kahaa.N ab gulaab kis se luu.N, *
Vo gul farosh kahaa.N ab gulaab kis se luu.N,
nahii.n rahaa meraa saaqii sharaab kis se luu.N,

[gul farosh = flower seller]

terii talaash me.n is umr-e-mustu’ar ke saal,
jo raayegaa.N gaye un kaa hisaab kis se luu.N,

[umr-e-mustu’ar = borrowed time; raayegaa.N = futile]

hayaat Khud hai savaal aur Khud javaab apanaa,
savaal kis se karuu.N mai.n javaab kis se luu.N,

[hayaat = life]

kisii ke naam jo mansuub abhii nahii.n kii thii,
mai.n apanii kho_ii hu_ii vo kitaab kis se luu.N,

[mansuub = related to]

tumhaare baad na dekhuu.N tumhaare jaiso.n ko,
to ye shabii.n ye umange.n ye Khvaab kis se luu.N,

[shabii.n - moonlit night]

nashaakashii se bii le luu.N ’Shaoor’ aaj magar,
vo roz-e-abr-o-shab-e-maahataab kis se luu.N.


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378