donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anwar Shaoor
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nahi'n ke Alam-e-asbab me'n nahi'n dekha *
Nahi'n ke Alam-e-asbab me'n nahi'n dekha
Qarar ham ne kabhi khawab me'n nahi'n dekha

Kanwal ka phool tasaweer me'n to dekha hai
Khila hua kisi talaab me'n nahi'n dekha

Tumhari shakal me'n jaisa jamal hai aisa
Gul-e-shagufta wa shadab me'n nahi'n dekha

Unhe'n ghoroor ka ilzam dene walo'n ne
Kabhi aqarib-o-ahbab me'n nahi'n dekha

"Shaoor" ne jo asar sadgi me'n dekha hai
Takallufat me'n, aadab me'n nahi'n dekha

			A-24/31, Crecent Complex, Block-11,
			Gulshan-e-Iqbal, Karachi (Pakistan)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 371