donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aqeel Shadab
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Om shanty-om shanty *
Om shanty-om shanty
Gautam ki muskan ke peechhe
Kitna sakon hai kitna chain hai
Kitni ebadat aur riyazat
Ka Hasil hai?
Kitne hungamon se guzar ker
Yeh muskan
Labon tak pahunchi hai
Buddh ke-
Jaise eik toofan ke bad ka sannata ho
Jaise jung-o-jadal ke bad ki
Khamoshi ko
Kitni meafi ki pertein hain
Ek muskan mein
Eik jahan aabad ho jaise
Dukh sukh ki
Bunyad ho jaise
Om shanty-om shanto
Isi  trah
Ek  monalaza ki hansi ke peechhe
Kitne razhayye ser bastah
Chhipeyy huai hain
Sadiyan guzrin 
Laikin yeh dono  muskanein 
Ab bhi muafi giraft se
Mustasna hain
Dono na janyy
Kis jazbe ki
Sershri mein mustaghriq hain
In khndan zair-e- lab mein
Kaun sa jauher 
Chhipa hua hai
Bhiyo bhari mskan mein goya
Eik tilism  hosh ruba hai
Vabastah hai 
In se shayad
Zat-o-safat ki eik keranti
Om  shanty
Om shanti 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 471