donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arshad Jamal Sarim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* yuN hee nahiN aye koozah gar chaak pe tu phiraa mujhe *
yuN hee nahiN aye koozah gar chaak pe tu phiraa mujhe
honaa hai tere haathoN ke lams se aashnaa mujhe
=================================
 
qaayem anaa pasandee ke rakhne bhee the bharam sabhee
pahuNche nah us ko thes tak, yeh bhee thaa sochnaa mujhe
====================================
 
khilqat ke waaste tiree maiN bhee to sochtaa magar
tu ne HiSaar e zaat se baahar hee kab rakhaa mujhe
===================================
 
zeest ke us aik moD par kuch hum judaa huye the yuN
us ko nah ab palaTnaa thaa, denee nah thee sadaa mujhe
===================================
 
us ko takab lagaane kee, mujh meiN chupaane ki lagan
jism ko chaahiye thaa zakhm, chaahiye thee ridaa mujhe
===================================
 
us par kabhee maiN mun'akis mujh par woh mun'akis kabhee
yaa maiN huN us kaa aayinah' yaa woh hai aayinah mujhe
===================================
 
shaamil hee rakhnaa thaa nah jab mujh ko kisee nisaab meiN
SARIM kitaab e zeest meiN likhkhaa hee kyuN gayaa mujhe
====================================
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 330