donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arshad Jamal Sarim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nigah meiN deed ki khwaahish nah lab peh jaam ki pyaas *
nigah meiN deed ki khwaahish nah lab peh jaam ki pyaas 
faqat hai dil meiN mere gham ke iltezaam ki pyaas 
====================================== 

saHar ki gaud meiN chiptaa hua tilism e shab 
baRhaa gayaa mere dil meiN sawaad e shaam ki pyaas 
========================================= 

junooN ke seHraa meiN jab se khule haiN darwaaze 
dayaar e hosh meiN baaqi nah dar, nah baam ki pyaas 
======================================= 

teri nigaah e inaayat ki saahiri , taubah! 
bas aik pal meiN mitaa di meri madaam ki pyaas 
=================================== 

badan se qais ke riste huye lahoo qatre 
bujhaa sake nah bhalaa woh bhi iZdehaam ki pyaas 
====================================== 


woh aaj qaid meiN raawan ki khush wo khurram hai 
kahaaN hai waqt ki seetaa ke man meiN raam ki pyaas 
======================================== 

miCaal e shm'a pighalnaa tumheiN bhi hai SARIM 
agar hai dil meiN tumhaare kisi maqaam ki pyaas 
=================================== 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359