donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arshad Jamal Sarim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ghamoN ki jis ko hai har aan justajoo, miraa dil *
ghamoN ki jis ko hai har aan justajoo, miraa dil
woh jis ne ishq ki rakhkhi hai aabroo , miraa dil
==================================

hayaat meree ! kahaaN kho gayi hai tu meri jaaN
teri talaash meiN phirta hai koo bah koo , miraa dil
==================================

khuloos o mahr ki khushboo bikhertaa jaaye
jawaar e shahr e jafa meiN chahaar soo , miraa dil
====================================

mire wajood e shikastah ki zindagi ki daleel
ye mere shaHra badan mein ik aab joo, miraa dil
=====================================

ajab taraH se maraasim nibhaaye jaataa hai
kabhi rafeeq hai meraa kabhi adoo , miraa dil
====================================

ba waj;h e rashk rukh e gul sabhi the paz murdah
chaman meiN aise hua mere roo bah roo miraa dil
==================================

hai zarrah zarrah meri kaayenaat kaa raNgeeN
hua hai jab se tu aye jaan e aarzoo, miraa dil
=================================

qadam qadam pe mileiN thokareiN zamaane ki
qadam qadam pe hua hai lahoo lahoo miraa dil
==================================

mere liye hai meree zaat mai kadah SARIM
sharaab fikr hai meree , to hai suboo miraa dil
=================================
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395