donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arshad Jamal Sarim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* roz pahloo badalti huyi zindagi *
roz pahloo badalti huyi zindagi
meri girti saNbhalti huyi zindagi
=======================
 
barf sa jism qaayem rahe kab talak
lamHa lamHa pighalti huyi zindagi
===========================
 
ja baja mushkiloN ka taqaaza kare
ghar se baahar nikalti huyi zindagi
==========================
 
band muththi meiN huN ret ke miCl maiN
aur meri phisalti huyi zindagi
===========================
 
huasla de gayi mujh ko ik mauj ki
sar patakti, machalti huyi zindagi
==========================
 
jaayezah apna jab waqt e rukhsat liya
rah gayi haath malti huyi zindagi
============================
 
din ki peshaani pe zulf bikhra gayi
dhalte sooraj ki dhalti huyi zindagi
==========================
 
ab to SARIM ko bhi raas aane lagi
gham ke saaye meiN palti huyi zindagi
=============================
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 381