donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arshad Jamal Sarim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nahiN hai dil yeh miraa yuN hee izteraab talab *
nahiN hai dil yeh miraa yuN hee izteraab talab
 
tareeq e ishq rahaa hai sadaa itaab talab
============================
hai shab parastoN ka woh sail e bekaraaN keh yahaaN
 
bache gaa kaise bhalaa koyee aaftaab talab
==============================
main kyaa karuN keh sawaaloN se nit naye apne
 
Hayaat karti hai har leHzah ik jawaab talab
=================================
nah kyuN ho hum peh musallat saoobatoN ke jibaal
 
hamaare wasf hi aise haiN kuch azaab talab
===============================
sabaq paRhaa diyaa kis ne inheiN haqeeqat kaa
 
nah rah saki miree aaNkheiN bhi ab saraab talab
=================================
chalee woh baad chaman meiN mere khizaaN aamez
 
uRaa ke le gayi ummideiN sab gulaab talab
==================================
qadam qadam pe badaltaa hai husn kaa me'yaar
 
hai dars e ishq bhi is daur meiN nisaab talab
==================================
yuN daagh daagh kiyaa waqt ne mujhe SARIM
 
rukh e Hayaat miraa ho gayaa naqaab talaab
==================================
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364