donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Arshad Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kya khabar thee ke woh khushboo sa bikhar jayega *
Kya khabar thee ke woh khushboo sa bikhar jayega
Chhooke chupke se mera haath guzar jaayega

Tum  kabhi samjho to us shakhs ke chehre ki zuba'n
Kam sukhan hai woh magar dil me'n utar jayega

Aaj to dekh hi le'n haath laga kar us ko
Woh koii khawab nahi'n hai jo bikhar jaayega

Jab use apne hi saye ki zaroorat hogi
Kisi diwar ke saye me'n thahar jaayega

Rezah rezah nazar aaye'nge shanasa chehre
Aaj phir toot ke aayiena bikhar jayega

Raat keya rang dekhati hai yeh socho "Arshad"
Din to apna hai bahar haal guzar jaayega

					C-63, Bagh Umrao,
					Dulha Colony, Bhopal (M.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335