|
* Zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai, *
Zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai,
Tapak pa.Date hai.n aa.Nsuu jab vafaa kaa naam aataa hai ,
[naakaam=unsuccessful]
vafaa tum se kare.nge dukh sahe.nge naaz uThaaye.nge ,
jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai ,
akele karavaTe.n hai.n raat bhar bistar pe aur ham hai.n ,
kahaa.N pahaluu ko Khaalii dekh kar aaraam aataa hai,
hasiino.n me.n basar kar dii javaanii 'Arzoo' ham ne ,
lagaanaa dil kaa siikhe hai.n yahii ik kaam aataa hai.
|
|