donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Asad Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek umr se Khaamosh haiN diivaar kii suurat, *
Ek umr se Khaamosh haiN diivaar kii suurat,
ye bhii to muhabbat meN hai izhaar kii suurat,
(izhaar : acknowledgement, acceptance)
is Khauf se maiN band kiye baithaa huuN aaNkheN,
ho ghar meN mere phir na shab-e-taar kii suurat
(Khauf : fear; shab-e-taar : dark night)
jaane vo kahaaN dafn hu’e phuul se jazbe,
ab haath bhii malte haiN to talvaar kii suurat
suurat hai kuch aisii ke mere chaaraagaroN se,
dekhii nahiiN jaatii tere biimaar kii suurat,
(chaaraagar : sympathizer)
un se to “Asad” kuch na hu’aa raah-e-vafaa meN,
ab tum hii nikaalo ko’ii iisaar kii suurat.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 641