donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Asar Faridee
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Buzurgo'n ne jo tahzeebi asaasa ghar pe rakhha hai *
Buzurgo'n ne jo tahzeebi asaasa ghar pe rakhha hai
lagaya hai ise aankho'n se mai'n ne sar pe rakhha hai

yaha'n ka ahdo munsib to maalo zar pe rakhha hai
magar insaaf hamne arsa'e mahshar pe rakhha hai

tumhare raaste mei'n tergii mayel nahii hogi
chale aao diya hamne jala ke dar pe rakhha hai

mujhe ehsas tanhayee nahii mana ke tanhaa hoo'n
jo khat likkha hai tumne, woh mere bistar pe rakhha hai

'Asar' mushkil hai kuch kahna batayoo'n mai'n tumhe kaise
hamara faisla to bas pase manzar pe rakhha hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 308