|
* Ik alam-e-hairat hai fana hai na baqa hai *
Ik alam-e-hairat hai fana hai na baqa hai,
hairat bhi ye hai k kya janiye kya hai,
sao bar jala hai to ye sao bar bana hai,
hum sokhta jano'n ka nasheman bhi bala hai,
hontho'n pe tabassum hai ke ek barq-e-bala hai,
ankhoo ka ishara hai ke sailab-e-fana hai,
sunta hoon bare gorr se afsana-e-hasti,
kuch Khwab hai kuch asl hai kuch tarz-e-ada hai,
hai tere tasawor se yaha noor ki barish,
ye jan-e-hazi hai ke shabistan-e-hira hai. |
|