* Din ko chain na raat ko qraar hai bhai *
Din ko chain na raat ko qraar hai bhai
Lagta hai yeh mohabat ka khumaar hai bhai
Humaaray bas mein ghr hota tou isay samjaatay
Iss dil pay na koi ikhtyaar hai bhai
Jis ki baaton mein mohabat ki chashni hai
Shaaid ki tarah meetha mera dildar hai bhai
Umeed hai uhs nein sanbaal rakha ho ga
Pehli bar apna dil diya udhaar hai bhai
Yeh haqeeqat hai jisay mein jutla nahein sakta
Asghar kay dushman bout koi na yaar hai bhai |