* Jab uhs ke khat ka jawab likhta hoon *
Jab uhs ke khat ka jawab likhta hoon
mein uhs ka naam mahtaab likhta hoo
wo padh kar sharamsar he hota ho ga
tareef mein baatein behisab likhta hoon
wo nazik hai kisi phool ki soorat
issi liye mein usay gulab likhta hoon
uhs ki ankhon mein maeh ka nasha hai
unn nashili ankhon ko shrab likhta hoon
shayari likhna mera mehboob mushgla hai
ilm nahien achi ya khrab likhta hoon
************************************ |