GHAZAL
Aasoodah gulsitan me n gul hai bahar hai
ab ke ye kuch ajeeb sa range-bahaar hai
jis ne utha k bojh ki beton ki parvarish
wo baap ab suna hai k beton pe baar hai
le aaya aaj waqt mjhy ks maqam par
yaara na sabr ka hai na rahe-farar hai
izhare-ishq mei bata ye kashmakah hai kiyon
meri wafa pe tujh ko agar etebaar hai
main kar raha hoon shauq se tazyeen-e-kayenaat
pairahan-e-hayaat magar taar taar hai
apno ke darmiyan hain meelon ke fasile
ashhar har eik shakhs ana ka shikaar hai
————————————————-