donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aslam Rahi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* RAUZAE AQDAS PE AKSAR YEHI MANZAR AAYE, *
MAQBOOL NAAT E RASOOL S.A.W.
RAUZAE AQDAS PE AKSAR YEHI MANZAR AAYE,
UN KE HUJRE MEI'N FARISHTEY MUJHE LE KAR AAYE,
PYAAS ZAM ZAM SE BUJHAYEE TO KHAJOORO'N SE YEH BHOOK,
JAB MADINE MEI'N HAM AAYE TO KAHA GHAR AAYE,
WAADIYE KHULD ME'N HAM UN (S.A.W.) KE GAYE THEY IK DIN,
IS LIYE LAUT KE JAB AAYE MOATTER AAYE,
MERE AAQA KE QADAM LENE SHAJAR AUR HAJAR,
DAURH KAR AAYE GAYE AUR MOKARRAR AAYE,
JIS NE BHI HAATH MILAYA YEHI MUJHSE POOCHHA,
KYA KISI MAHKE HUE PHOOL KO CHHOO KAR AAYE,
SAB KE AANSU THEY WAHAA'N SUYE HASRAT HAM BHI,
JHEEL KE PAAS GAYE AUR WAZU KAR AAYE,
MUJH GUNAHGAR PE BHI SHARE SAKHA ME'N "RAHI",
RAHMATO'N KI SABHI TAANE HUE CHAADER AAYE.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326