|
* Ik baar hi aane ka waada jo wafa hota *
Ik baar hi aane ka waada jo wafa hota,
Phir mai’n ne zyafat mei’n kya kya na kiya hota,
Badnaam na duniya me’n, itna mai’n hua hota,
Manind jo auro’n ke hamdoshe hawa hota,
Gar waqt pea a jati , kuchh khair khabar unki,
Phir dard mera kiyo’n kar, mamnoone dawa hota,
Woh tarke Ta’aluq ka, mujrim na mujhe kahte,
Kuchh haal mere dil ka, gar un ko paTa hota,
KhaTa na fareb aakhir, phir koi bhi apno’n se,
Gar dil woh Khoda deta,jo qibla numa hota,
Maange ke ujaale per,Takia bhi bhala kab Tak,
Aye kaash! Mera koi apna bhi diya hota,
Is makr ki duniya se, duniya wahi behtar,
Achha Tha garibaa’n jo, mai’n ne na siya hota,
“Raazi” ki ghazal hoti, kuchh aur zara Shasta,
“Hasrat” ke chiraagho’n se gar noor liya hota.
|
|