|
* Hamai'n to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai *
Hamai'n to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai,
tumhai'n bhi kya kabhi koi diwana yaad aata hai,
hawaye tez thi barish bhi thi tufaan bhi tha lekin,
tera aise mai'n bhi wada nibhana yaad aata hai,
guzar chuki thi bahut raat bato'n bato'n mai'n,
phir uTh ke wo tera shamma bujhana yaad aata hai,
ghataye kitni dekhi hai'n par mujhe `Asrar`,
kisi ka ruKh par wo zulfe'n girna yaad aata hai. |
|