donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Atif Javed Atif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ***RECTOR SCALE 6.0*** *
***RECTOR SCALE 6.0*** 

Bain kerti hui fizaaao'n mein 
usski aaah-o-fughaa'n bhi shamik thi 
kal Peshawar k uss dhamakey mein 
aik bachey ki maa'n bhi shamil thi 

ghar say nikli thi thori ujlat mein 
apnay bachey ka dhoodh lanay ko !! 

Loug kehtey hein marr gaii hai woh !! 

per wo apni lehad k andar say 
ladley ki pukaar ko sun ker 
fart-e-mamta sey Aaaah bharti hai 
or apnay khuda ki janib jab 
Ashk bhar k nigaaah kerti hai 
Aasma'n mein shigaf partey hein 
koh-o-dasht-e-azal laraztey hein 
Seena-e-dehar kaanp uthta hai 

Mairay wehm-o-guman k andar 
koi aala nahi k jiss say mein , 
isski shiddat ko maap hi sakta!! 

Haan magar ehl-e-ilam-o-danish mein 
farsh hilna , pahaar phatt jana 
koi qudrat ka khail ho shayad !! 
kisski shiddat ko mapnay k liyee 

sirf "RECTOR SCALE " ho shayad !! 

(KALAM: Atif Javed Atif ) 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 288