donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azeez Nabeel (Qatar)
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ae Zindagi yeh keya huaa tu hi bata thorha bahut *

Ae Zindagi yeh keya huaa tu hi bata thorha bahut
Woh bhi bahut naaraaz hai mai.n bhi khafa thorha bahut

Manzil hamaari keya huyee yeh kis jahaa.n me.n aagye
Ab sochna pesha hua kahta raha thorha bahut

Na mehrabaa.n ho raasta aur be wafa ik ik gali
Ham kho gaye is shahar me.n rasta mila thorha bahut

Khamosh lab bechai.n dil aankho.n me.n hairaani rahi
Kahna bahut kuchh thaa magar hamne kahaa thorha bahut

Is bazm se wabistagi keya keya dikhlayegi Nabeel
Phir aagaye tum har kaar jo kuchh bhi thaa thorha bahut


A-219, Qasco, P.O. Box No. 50090,
Masaied, Qatar (A.G)

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359