donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Azeez Nabeel (Qatar)
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh kis maqam pa laya gaya khudaya mujhay *

Yeh kis maqam pa laya gaya khudaya mujhe
Kay aaj raund kay guzra hai mera saya mujhay
----
maiN jaisay waqt kay hathoN main ek khazana tha
kisi nay kho diya mujhko kisi nay paya mujhay
----
Ek aarzoo kay taqub main youN hua hai nabeel
Hawa nay ret ki palkoN pa labithaya mujhay
----
main eak khwab tha aur neend kay hisar main tha
phir eak roz kisi khwab nay jagaya mujhay
----
jahaN kay sadiyoN ki khamoshiyaN sulagti haiN
kisi khayal ki wahshat nay gungunaya mujhay
----
Isi zameeN nay sitara kiya hai mera wajood
Samajh rahay haiN zameeN walay keyoN paraya mujhay
----
Na janay kaun hooN kis lamha-e-talab main hooN
Nabeel chain say jeena kabhi na aaya mujhay
--------------------------------------------------------
عزیزنبیل

یہ کس مقام پہ لایا گیا خدایا مجھے
کہ آج روند کے گزرا ہے میرا سایہ مجھے

میں جیسے وقت کے ہاتھوں میں اک خزانہ تھا
کسی نے کھودیا مجھ کو کسی نے پایا مجھے

اک آرزو کے تعاقب میں یوں ہوا ہے نبیل
ہوا نے ریت کی پلکوں پہ لا بٹھایا مجھے

میں ایک لمحہ تھا اور نیند کے حصار میں تھا
پھر ایک روز کسی خواب نے جگایا مجھے

جہاں کہ صدیوں کی خاموشیاں سلگتی ہیں
کسی خیال کی وحشت نے گنگنایا مجھے

اِسی زمیں نے ستارہ کیا ہے میرا وجود
سمجھ رہے ہیں زمیں والے کیوں پرایا مجھے

نہ جانے کون ہوں، کس لمحہٴ طلب میں ہوں
نبیل چین سے جینا کبھی نہ آیا مجھے
*******

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 341