Khiza.n ke rang mei.n abhi bahaar baqi hai,
chiragh-e-sahar hai par intezar baaqi hai,
humei.n salam karo ae hawadis-e-daura.n,
tumhare sath hai.n phir bhi qarar baaqi hai,
guzar chuka hai ummido.n ka qafila kab ka,
raah-e-yaqeen pe ab bhi Ghubar baaqi hai,
humai.n pukar lo jab chaho hum milenge wahi.n,
mile hai.n Khak mai.n lekin waqaar baaqi hai.