aasman sahil samundar aur main
khulta phir yaadon ka daftar aur main
chaar samten aaina si har taraf
tum ko kho dene ka manzar aur main
mera ujla-pan nae andaz mein
teri baKHshish maili chadar aur main
ek murat mein tajrabe nit-nae
kitne be-kal mera aazar aur main
khulte hain asrar ajab aalam mein
band hota wo har ek dar aur main
raat ek tarik pinjra yas ka
phaDphaData ek paikar aur main
****************